FruitBenefitsUrdu

Grapes Benefits in Urdu

  • Grapes Benefits in Urdu . 
  Table of Content  
  • Grapes In Hindi
  • Grapes Benefits in Urdu
  • Grapes In Pakistan And India




Grapes ki bail hoti hai is ka shumar zayana qadim hi say ghizayat say bhar pur ala qisam kay phalon mein hota hai.

Grapes ki bail tin char sal bad phal daina shurooh kardaiti hai Grapes jasamat rang aur mazay kay lehaz say mukhtalif sisam kay hotay hain maslan kala Grapes,sundar khani Grapes,lamba Grapes,gol Grapes,mota dana dar,algharaz is ki kaee qismain hain baz Grapes surkh,baz siyah aur safaidi mail hotay hain.

Mashor mewa h ai chotay Grapes ko jis mein dana nahin hota Grapes ya badana kehtay hain yehi jab khushk hojata hai to is ko kishmish kehtay hain.rang zard aur siyah do qisam ka hota hai

Zaiqa,shirin,chashti dar ,kham tursh,mizaj pukhta garam tar darja 1 kham sard o khushk darja 1 miqdar khurak baqadare hazam,maqame paidaish ilaqa srhad baluchistan,Kashmir,qandhar,Afghanistan,maslah tukham karafs,badiyan zood hazam aur kasirul ghiza hai khoon bakasrat paida karta hai.

Badan ko farba karta hai musafi khoon bhi hai sodadi aur ikhterani mawad ko rafah karta hai pukhta Grapes mein hota hai aur bakasrat khanay say ishal anay lagtay hain laikin Grapes kham qabiz hota hai aur marz ishal mein mufid hai dara kusha aasu aur malleham Grapesi is kay mashhor murakabat hain. Kimiyaee tajziya say is mein carbohydrate 16.7 fisad protein 18 fisad kay alawah vitamin A 80 fisad international unit vitamin C char mili gram fi so gram calcium 19 mili gram aur iron 3 mili gram fi so gramon mein paey gaey hain.

Garam qabz kusha hai bohot taqat bukhsh hai dil o dimagh ,madah,phaipra aur antariyon ko taqat daita hai safaid Grapes lal kalay angoot ki nisbat behtar hai.

Dil ko khush karnay wala,khoon bohot paida karnaywala balgham kay sinay kay jumla amraz,tapediq,zukam,nazla,khansi kay liya bohot mufid hai jaldi hazam hojata hai jo mariz bohot kamzor hogaya hu usay Grapes ka tazah ras ya josh day kar garha kia huwa glucose pani doodh mein ghol kar daitay hain.

Yeh taqat bukhsh aur jaldi hazam karnewala hai pani mein gholnay say glucoseah ki tasir sard hojati hai.

Qudrat nay Grapes mein kaee bimariyon ko door karnay ki ajeeb tasir bhar di hai.
Kan say peep kharsh hoti ho to tursh Grapes kay ras ko aag par rakh kar paka lijay jab qiwam qadray garaha hojai to kisi choray mun ki shishi mein mehfooz rakh lijay bawaqt zaroorat dugnay shehad mein hal karlain.

Khoon bananay mein Grapes ka muqabila injeer kay siwa koee dawa aur ghiza nahin karti pakkay huway Grapes jisam ko ghizayat faraham kartay hain jis say jisam ko taqwiyat hasil hoti hai aur bimari kay khlaf quwate mudafiyat barhti hai aisay log jin ko gurdon ka arza h o ya pathri ki wajah say paishab ruk ka rata  ho Grapes bator daw istemal karna chahiye kiyunkay yeh paishab awr hai aur gurdon say rait kay zarray nikal daita hai.

Grapes ka mizaj garam tar hai aur is mein Grapesi shaker calcium hayatin aur madani namkiyat ki kasir miqdar paee jati hai tazah Grapes kay alawah khushk bhi bohot faida daita hai manqi jis ko mutadid imraz mein bator dawa istemal kiya jata hai yah daimi qabz aur joron kay imraz ko faida pohonchata hai.

Bay dana Grapes jab bail par pak kar sookh jata hai to isay kish mish ka nam diya jata hai bara Grapes jodanadar Grapes bhi kehlata h ai aur bail par hi pak kar khushk hojata hai isay munaqa ka nam diya jata hai daimi qabz ho to 24 ghantay pani mein bhigo kar subha nihar mun pani pi liya jai aur munaqqa khaliya jai to qabz jati rehti hai.

Kish mish sabz 2 tolay aur maghaz badam shirin 12 adad rat pani mein bhigo kar subha nihar mun badam cheel kar doodh kay sath istemal karnay say na sirf laghari khatam  hoti balkay jisam farba hojaiga husn o tandrusti bahal hoti jism tawana hoga bhook barh jaigi is amal par do tin mah tak musalsal kar band rehan chahiye.

Mirgi kay marizon kay liye Grapes bohot faida mand hai Grapes ka ras nikal kar aisay marizon ko tin mardaba din mein panch panch tola pilanay say mirgi kay marz mein aram ata hai aisay doodh pinaywalay bachay jodant nikal rahay ho ya jin ki maon kay doodh mein kami ho ya har ka doodh istemal karaya jata ho ya sheer khowargi kay deegar imraz shidate piyas waghairah mein Grapes ka ras shahad khalis 1/3 chamchi mein mila kar istemal karana chahiye.

Bal jhar bani gang kay liye kish mish umdah aik hiss aur ailwa nisf hissay lay kar kharak mein dal kar khoob pice lain aur pani mila kar lap taya karain chand roz yehi lap laganay say gang ki bimari door hokar nihayat umdah bal paida hojain gay.

Maghaz badam aik tola,safoof halgi aik tola,munaqa jis mein say beej nikal liye gaey hon aik tola, sab kop ice kar chanay kay barabar goliyan banain aur aik aik goli mun mein rakh kar chustay rahain khansi ka foran hojaigi do tin din chustay rahain tursh Grapes ka pani nikal kar dropper waghairah say do do boond khati huee ankhon mein dalain aram hojaiga.

Ankh mein Grapes ka ras nikal kar is ko nak mein khinchwain to naksir foran badn hojaigi inehdam nihani say safaid ratubat behti rehti ho hazima bigar gaya ho chehrah beyronaq ho raha ho pait phool gaya ho qabz aur sar dard ki shikayat rehti ho to Grapes ka ras aik chamcha subha o sham istemal karnay say faida hota hai hamla aurat ko agar roz bila nagha diya jai to isay ghashi,chakar dard dant,maror ,sozish aphara aur qabz waghairah ki shikayat na hogi pait ka bacha bhi tandrust aur mazboot hoga.

Agar kisi mosm mein Grapes na milain to kish mish istemal karsaktay hain kish mish angor ka sukha huwa phal hai.

Kish mish saf shuda 2 tola,zafran 4 rati rat ko matti kay piyalay mein aik pao pani mein bhigokar piyalay par aik barik kapra bandh kar shabnam mein rakh diya jai aur subha uth kar who kishmish kha kar upper say pani pi liya jai to dil ko taqat hasil hoti hai muqawi dil hai.
Mirgi kay liye safoof aqar qarha bohot marik aik tola ko do tola munaqa mein say beej nikal diye gaey ho kay sath ragar kar majoon banalijay.

Do masha rozana say shurooh karkay tin char masha rozana tak pohochain phir qudrat ka ajuba daikhain koriyon kid aw jawahrat ka muqabila karti hai.

Marz khafqan kay liye kish mish sabz umdah adhi chatank lay kar kisi chini ki plate mein dal kar araqe gulab do chantank mila kar rakh dijiye subha kay waqt pehlay kish mish khila kar phir araqe gulab mein qadrey misri mila kar pilaye mutawatir 21 roz kay istemal say yeh marz door hojaiga.

Munaqa pandrah dana (jis mein say beej nikal diye gaey hon) sirka Grapesi do tola mein rat bhar bhigo rakhaiye subha qadre namak o kali mirach laga kar khilaye is nuskhay kay chand roz istemal say yarqan say chutkara hasil hojaiga.

Mutawatir pandrah din mithi kish mish khanay say baqade chatank roz khatay rahain kish ne milay to hasbe tabiyat aik ya adhi chantank munaqa beej nikal kar khaliya karain purani qabz mein bhi faida hoga.

Grapes ki bail kay patty do tola ko pani mein pice kar chan lijay ab is mein lahori namak mila kar pila dijay dard gurdah ka tarapta huwa mariz chain paiga.
Maghaz bdam char tola kish mish sabz das tola narjil sat tola chuharay bay dagh ath adad sab ko kut kar mehfooz  rakhain haiz kay dinon mein panch tola roz garam doodh sy khilatay rahain haiz khul kar jari hojaiga