Amaizing facts and Benefits of Orange In English
Orange is juicy, citrus fruit, abundant all over the world and contains numerous nutrients for maintaining health and beauty. Orange is well known for having highest vitamin C content among citrus fruits. Vitamin C is powerful anti oxidant which prevents aging and cancer cells to develop and provide immunity against infections and other diseases.
Moreover it contains vitamin A also which is essential for many functions in body especially night vision. Along with vitamins, they also contain minerals like potassium and calcium, which are important for normal muscle, and nerves function.
Orange consists of outer peel with small openings, and inner pulp divided into conical parts with seeds. Seeds are very bitter and not eaten, pulp is very juicy and contains a lot of fiber which is good for digestive tract and gives protection against various intestinal and digestive disorders. Peel or skin is very useful too it contains volatile essential oils and if applied to skin, it gives instant glow and moisturizes it, that’s why it is used in many beauty products like masks and scrubs.
Amaizing facts and Benefits of Orange In Urdu
Oranges aik mashoor phal hai is ko sangtarah bhi kehtay hain khandane mughliya kay badshah nay is ka nam rangtarah rakha tha.
Orange aik ashoor phal hai rang surkh zardi mail zaiqa chashti dar shirin mizaj sard tar badarja som maqame paidaish nagpur Hindustan junubi cheen waghairah afal o istemal qateh safra mafrah aur maskan tashnagi hai hararat jismani ko faro karta hai dil ko taqwiyat bakhashta hai.
Hawa ki sammit ko door karta hai is ka chilka jali honay kay bais ubtanon mein shamil kartay hain chehraykay dagh o siyahi kodoor karta hai aur rang nikharta hai safrawi marizon kay mawafiq hai.
Sard tar farhat bakhsh hai dil aur maday ko taqat daita hai garmi ko mitata hai bukhar piyas bay cheni qay matli ko mitata hai sina ko saf karta hai taqat bakhsh hai khoon kay josh ko thanda karta hai.
Doctari mein sab mewon say afzal mana gaya hai kiyunkay is mein vitamin bohot ziyadah hai halwah waghairah bhari ghiza kay bad sangtarah istemal hazim hai
Nazul dimaghi agar nak ki rah kharij ho to zukam aur halaq mein giray to nazla kehlata hai.
Khoob pakay huway sangtrah ka ras aik pao lay kar naram naram anch par rakhain 170 foreign hight tak garam karain ab 4 masha banafsha kay pattay dal kar foran aag say nichay utarlain aur 5 minute tak bartan ka mun band rakhain phir chan kar garam garam piladain din bhar mein jab bhi iyas lagay yehi amal dohratay rahain khana bilkul na khain aik do rosz mein tabiyat sambhal jaigi.
Turshi, khansi kay liye muzir hai laikin sangtarah ki turshi khansi kay liye bamanzila aksir kay hai.
Umdah aur sab say acha tariqa yeh hai kay khansi kay d oran mein pakay huway sangtarah kay ras mein misri dal kar piya karain khansi door hojaigi.
Agar aap mehsoos kartay hain kay bhook bohot kam lagti hai khaya piya jaldi hazam nahin hota khana khanay kay bad fitri lazzat say mehroom rehtay hain to is chutkala say kam lay kar apni bhook durust karain.
Sangtarah ki qashain lay kar in par sonth ka safoof aur kala namak chirkain aur khain to is chutkala say kam la kar aap ki bhook pehlay ki nisbat barh jai gi aik haftay tak khain.
Narangi ki qash ka chilka utar kar saya mein sukhalain isay pice aur chan kar pani kay hamrah khilain aik do bar kay istemal say dard rehi bhag jai ga.
Typhoid kay mariz kay liye aisi ghiza ki zaroorat hoti hai jis mein protein ki miqdar barai nam ho kiyunkay mariz ki quwate hazma kamzor hoti hai mariz ko aisi ghiza milni chahiye jo maday par mutlaq bojh na dalay aur foran na sirf hazam hojai balkay jazo badan bhi ban jai is shart par sirf sangtarah ka ras hi pura utar sakta hai.
Rozana pao dairh pao sangtarah ka ras jahan mariz ko ziyadah kamzor nahin honay daita wahan barhti huee piyas bhi bujhata hai.
Alawah azin jisam say zehrilay mawad ko kharij bhi karta hai agar mariz ko jo ka daliya daina ho to is mein bhi sangtarah ka ras shamil karlaina chahiye.
Orange’s ka ras aik sair misri aik sair araq baid mushk air pao araq kyora aik pao pani mein mila kar istemal karain garmi ki tezi ko door kartaha taskin piyas hai mafrah aur muqawi dil hai
Mafrah nosh aab tazah sangtarah aik adad khand hasbe zaroorat khanewala soda aik masha.
Tarkeeb: aik glass pani mein hasbe zaroorat mitha ya koee sharbat milalain aur aik masha soda ba ka rab is mein khoob hal karlain ab aik adad tazah sangtarah ras say bhara huwa lay kar is ka chilka door kardain is chilkay ko daba kar do char boond is ka ras sharbat kay glass mein dakhil Karin.
Khayal rakhain kay bohot ziyadah dalnay ki koshish na karain warna bad zaiqa hojaiga phir qash sangtarah ko saf kapray mein rakh kar daba kar pahi hasil karain
Is pani ko sharbat bala mein dakhil karain foran josh paida hoga josh hotay hi glass ko mun say laga kar nosh karain nihayat khhush zaiqa sahrbat hai
Fawaid: maday ki sozish aur hiddat ko foran taskin daita hai mosame garma mein is ka istemal farhat bakhshta hai qabz kusha hai jigar kay suddon ko kholta hai yarqan kay liye benazir dawa hai.
Garmi mein safar karnay kay bad istemal karnay say tabiyat mein khas qisam ki farhat paita karta hai quwate hazma ko taqviyat daita hai bhook khoob lagata hai.
Tarkib: do boond subha do boond rat ko sotay waqt ankhon mein dalain.
Fawaid: kharish,shund,kakray door karnay mein lasani.
Ayyame hamal mein sangtaron ka ziyadah istemal khoob soorat aulad paida karnay ka raz hai jis ka ji chahay azma kar daikhlay
Aam halat mein khasusan kamzor admiyon kay liye sangtray ka ras behtarin latif ghiza hai hatta kay doodh jaisi latif ghiza kay muqablay mein yeh bohot hi latafat rakhta hai.
Doodh ko hazam karnay mein madah ko kuch kam karna parta hai santaray ka ras asani say jazb hokar badan kay takhziya mein sarf hota hai.