Apples: Apples are fruits well known for its benefits and in sick people, these fruits are given in all parts of world to regain vitality and recovery of the patients after illness. This is because of its wide nutritious value. Apples are rich in fiber, antioxidants and minerals like all other fruits
Amaizing facts and Benefits of Apple In Urdu
Phalon mein Apple ko sab say ziyadah sehat o tawanaee bukhsh aur laziz tarin hal qarar diya gaya hai sab aik khush zaiqa khush rang aur khush shakal phal hai is ki bay shumar aqsam hain sab mein nisf hissa thos hota hai aur is mein ziyadah protein aur khand hota hai Apple apni ghizayat kay lehaz say sab say maqbool hai bachay burhay nojawan bimar aur tandrust sab kay hi raghbat say khatay hain.
Apple masy mein pohonch kar pespain ko tez karta hai jis say hazma mein madad milti hai bhook khoob lagti hai jigar ka fail bhi tez hojata hai Apple khanay say jism mein chusti aur salahiyat amal barhti hai sab phasphoras ka qudrati khazana hai is liye kami khoon kay marizon kay liye to sab say umdah nemat hai.
Tazah Apple mein 84 fisad pani hota hai Apple mein faris salay phalon aur sabziyon mein say ziyadah hota hai aur chilkon mein hayatin vitamin C bhi bohot ziyadah paya jata hai is lehaz say Apple ka chilka zaya nahin karna chahiye.
Gurdon ko saf karnay mein bhi Apple kay faiday musallim hain dimaghi kam karnaywalon kay liye moasar ghizaee tonic h ai kiyunkay is say quwate hafiza barhti hai is liye tulaba aur dimaghi kam karnewalon kay lajawab tohfa hai.
Apple kay chilkay say nihayat khush zaiqa chair tayar hoti hai jo aam istemal honewali chair,coffee,qehwa ki terha nuqsan deh nahin bulkay quwat bakhsh hai agar is mein limon ka ras aur shahad ka izafa karliya jai to is kay fawaid dugnay hojatay hain.
Apple ka qadre tukra lay kar chaqu say cheel kar nakhda karkay dukhti huee ankh par rakh kar upper say malmal ki saf p atti bandh diya karain aram hoga sar dard Apple aik ya do adad la kar chaqu say cheel lijiye phir namal laga kar nihar mun khoob chaba kar khalijey tin char roz kay istemal say shaded dard ko aram hojaiga.
Safe dimagh aaj kal zafe dimagh kay mariz bohot pai jatay hain bulkay yun kehna chahiye kay jitna nazla o zukam daimi kay mariz nazar atay hain in mein issi fisad mariz dar asal zafe dimagh kay mariz hain aisay marizon ko waqay nazla adwiyat say faida is liye nahin hota kay dar asal in ki bimari zafe dimagh hoti hai aur tawaqtay kay dimagh ko taqwiyat pohoncha kar mazboot banaya jai inhain shafi hona mahal hai chunanchay yehan aik aisa ghizaee nuskha paish kiya jata hai jo kay dimagh ko mazboot bananay kay liye aik musalima amar hai.
Khana khanay say das minute paishtar aik ya do Apple nihayat ala darjay kay lay kar chilkay baghair nosh farmaliya karian chand roz mein zafe dimagh ki shikayat door hojaigi.
Aik pukhta Apple koot lijey phir saf rumal say pani nichor lijay qadre misri mila kar subha sawairay pilaya jai chand roz kay ander khansi bhag jaigi.
Kachay Apple ka pani nichor kar qadre namak mila kar pilain foran qay band hojai gi pait kay kiron kay liye rat ko sotay waqt aik do Apple khiladiya karain is kay bad pani hargiz na piya jai sat roz aisa karnay say tamam karam halak hojaingay aur pakhana ki rah nikal jaingi.
Apple ka raq baqadare tin tolay aik pao sadah pani mein mila kar pilanay say ziyadti piyas door hojati hai rozana nihar mun tin char Apple kha kar u pper say doodh piya jai to who aik mahinon hi mein sehat qabile rashk ban jati hai jild ka rang nikhar ata hai chehray par surkhi ki lehar ajati hai azai raeesa ki tamam kamzoriyan door hokar in mein aik nai zindagi ki rooh sarayat karnay lagti hai.
Mukhtasir alfaz mein yun kehna chahiye kay is ghiza say who tamam fawaid hasil hojatay hain jin ka zikar bari bari qimati dawaon kay ishteharon mein to paya jata hai magar jo dar asal kisi dawa ay hasil nahin hotay.
Yeh aik asan sa chutkala bah kay tez karnay mein nihayat hi lajawab sabit huwa hai agar kafi arsay tak is ka istemal jari rakha jai to kamzor kamzor admi ko bhi pura jawab banadaita hai aik adad pukhta Apple lay kar chaqu say cheel kar shishi mein rakhdain aur jis qadar bhi hosakay long chabudain haftay bhar bad log mazkurah nikal kar shishi mein rakh chorain.
Rozana subha kay waqt char say chay log tak nosh farmaya karain phir daikhain kay kis qadar quwat paida hoti hai Apple kay chilkay say nihayat laziz aur khushbu dar chai qahwa aur kafi ki terha muzrat rasan honay kay bajai hade darja farhat bakhsh paee gaee hai.
Khususiyat say burhon aur kamzoron kay liye is ka asar bohot qawi taslin kiya gaya hai is mein agar hasbe zaroorat aur hasbe zaiqa limon ka ras aur shahad milaya jai to sehat bakhsh asdar mein tin guna izafa hojata hai pas yeh chai paichish aur bukhar mohriqa ki kamzoriyon ko door karnay kay liye mashoor aam muqawi mashroob ovaltin ka kam daiti hai.
Muraba Apple motay Apple lay kar in kay ander say beej nikal dain aur chaqu say cheel kar pani mein halka josh dain nim pukhta honay par chini ki chashti dal kar thori dair aag par rehnay dain qiwam aknay par utar kar mehfooz karlain aur bawaqt subha bator nashta Apple waraq naqrah mein lapait kar istemal karna muqawi qalb aur muqawi dimagh hai.
Apple ka sharbat banana ho to Apple shirin ka pani panch sair aik qalaee dar daikchi mein dal kar josh dain jab adha reh jai to aik sair misri milain qiwam paknay par sard karkay mehfooz rakhain do say char tolay tak bad raqa dil o dimagh aur maday ko quwat bakhashta hai qay aur matli rokta hai safravi daston ko band karta hai aur piyar ko taskin daita hai tazah Apple kay ras mein qadre siyah mirach zera aur namak mila kar piyan is say bhook mein izafa hoga ghiza juzo badan bannay mein madad milay gi. Aur maday taqatwar hoga.