Benefits of Eating Bananas to the Human Body

benefits of banana for hair
benefits of banana during pregnancy
benefits of banana for skin in urdu
benefits of banana for skin in hindi
benefits of banana peel for skin
Banana is one of the greatest creations of almighty Allah; it is very beneficial for human body. This is an edible fruit that belongs to Musa (one of the three genres of family Musaceae) and used all over the world for better taste in food and milk shakes.
Along with dietary fiber, banana contains three types of natural sugars, like, glucose, fructose, and sucrose. These ingredients provide a quick and stable source of direct energy to those who eat them. When compared with apple, it contains four times the amount of protein, two times carbohydrates, three times phosphorus, five times vitamin A & iron, and twice the amount of other vitamins and minerals. It is replete with potassium as well. Based on these facts, you can sum up the qualities of banana in a single sentence, i.e. “a banana a day keeps doctor away”.
Tags:
benefits of banana in urdu language
banana benefits for men in urdu
benefits of banana for skin care
benefits of banana for skin in hindi
health benefits of banana skin
eating banana skin benefits
banana skin benefits for teeth
banana skin benefits for face
Amaizing facts and Benefits of Lemon
Amaizing facts and Benefits of Lemon in English
Lemon is small tennis ball shaped yellow colored juicy fruit with very sour taste. Sour taste is due to the presence of citric acid, which is naturally occurring acid in lemon.

In Asia it is usually regarded as vegetable but botanically it is a fruit with high vitamin C content. Yellow soft lemons are rich in juice otherwise green hard lemons are raw and contain little juice as compared to fiber. Lemon is special herbal remedy for weight loss because it contains no calories and no fats.
It is rich in vitamin C, A and B complex vitamins which have anti-inflammatory and anti oxidant properties so its users are resistant to many infections and other inflammatory disorders. It also contains minerals; important minerals contained in it are iron, calcium and potassium.
It is also used as taste enhancer and increases appetite. Lemon drinks give energy and prevents dehydration in hot sunny climates due to the presence of water and mineral content. Lemon also has considerable amount of fiber, which prevents from constipation.
Lemon Benefits In Urdu
Lemon aik mashoor phal hai jo pakistan kay taqriban tamam ilaqon mein paya jata hai is ki kaee aqsam hain jin mein say kaghzi lemon sab say behtar khayal kiya jata hai is mein ras bhi ziyadah hota hai aur yeh laziz bhi ziyadah hai.
Yeh phal ziyadah chat patay pan kay liye istemal hota hai log salan dal waghaira mein thora say nichor tay hain mosame garma mein is ki shikanjabin bana kar pi jati hai jo khush zaiqa honay key sath mafrah aur garmi door karnewala behtarin mashroob hota hai aik adad lemon ko cheer kar mong kay danay kay barabr afyun is mein dal dain aur phir isay dori say bandh dain aur aag par pakain pak janay par tin din is ka ras chusain hangar hani tin din mein khatam hojaigi azmudah tariqa aur nuskha hai.
Kan dard,khansi,had bazmi, dard shikam waghairah bohot si aam shikayatain aisi hain jo rat din huwa karti hain aur jin kay ilaj kay liye ham foran hakim doctaron kay pas bhagtay hain laikin in mamuli shikayaton ka ilaj ba asani gharailu dawaon say kiya ja sakta hai jin mein lemon ka ras karamad hosakta hai is mein na hing lagti hai na phitkari aur na ilaj mein kisi baray sarfa ki zaroorat hai.
Khansi: aik lemon ka araq nikal kar is mein log ka safoof aik ratti mila kar aik chatank pani mein hal karlijay isay at hath ghantay kay waqfay say nosh farmahiya aik chatank josh khatay huway doodh mein aik lemon ka ras mila kar is mein malaee mohason par lagahiye.
Khujli: nariyal kay arq mein do lemon ka ras mila kar isay josh dijay is garah amazay ko kharish danon par lagahiya bohot mufid sabit hota hai.
Matli: adhay lemon ka ras aik chatank pani aik ratti zeerah aik ratti ilaichi dana ka safoof in sab ko khoob mila lijay aur chay chay ghantay kay waqfay say nosh farmahiye pait kay dard kay liye khanay ka namak tin ounce,ajwain ka safoof aik grain zairah ka safoof 2 grain khand 3 grain adhay laimon ka ras in sab ko khoob mila kar nosh farmahiye dant ka dard log ka safoof aik chota chamcha phir aik lemon kay ras mein khoob mila kar danton par malnay say dard door hojata hai.
Do lemon kay ras mein dairh pao kholta huwa pani dal kar aur isay hasbe zaiqa shehad say mitha karkay rat ko sotay waqt pina zukam mein aksir ka hukam rakhta hai lemon ko khaddar kay aisay kapray mein jo pani mein bhiga huwa ho lapait kar upper say chikni matti ka laip kardain aur garam rakh mein daba dain takay is ka bhurta sa hojai phir garma garam is ko nikal kar dabahiye aur is ka pani nikaliye yeh pani foran sab ka sab pila dijey zikan bhagay ga gar is mein munasib miqdar shahad khalis bhi mila liya jai t o behtar hai.
Har qisam kay bukhar mein jis mein piyas ziyadah lagti hai lemon ka nichor nihayat nafah bakhsh hai is ki miqdar khurak chai kay char chamchon say lay kar chay chamchon tak samajhni chahiye lemon panch ya chay adad laykar in ka chilka utar kar is ki qashain ari tarash lain aur in ko kisi chini kay bartan mein dal kar upper say kholta huwa pani chordain jab bilkuk sard hojai to is mein hasbe zaroort misri yak hand mila dain bas lemonade tayar hai.
Jis qadar bhi mariz ka dil chahay pita rahay mosmi bukhar naiz garmi kay bukharon mein aik niayat hi khush gawar cheez sabit hoti haiis say qay ,piyas,ghabrahat aur dast waghairah ko aram hokar bukhar bhi door hojata hai khayal rahay kay chunkay ibtedaee mosam mein har aik cheez giran damon mein farokht huwa karti hai is liya mali log in ko pukhta honey say pehlay hi tor kar farokht kardaitay hain j okay sarasar nuqsan daitay hain jahan pakay huway lemon bukhar kay liye aksirul asar sabit hotay hain wahin kachay lemon mufid honay kay bajai ulta bukhar paida kartay hain is liye itmenan karkay pukhta lemon hasil karain jab p akhana bohot dard aur taklif say araha ho pakhana kay hamrah peep bhi arahi ho to aisay waqt mein lemon ka ras istemal karana bohot mufid hai dast aur paichish ko aram hoga.
Tarkib: bawaqte bazoorat mariz ishal ko lemon ka ras adh pao pani mein mila kar pilain aur isi terha din mein panch say sat martaba pilain dast khowah kitni hi kasrat say arahay ho ban hojatay hain garam doodh ko lemon kay ras kay sath phar kar pina paichish aur julab kay liye mufid hai hangar hani dawa aik dam mamooli tarkib istemal nihayat mamooli aur bimari sakht muzi waqi hairat angez karnama shumar kiya jai aik lemon ko darmiyan say cheer kar moong kay barabar is mein afyun dal lain dori say bandh lain phir isay aag mein latka kar pakain jab pak jai to is lemon ka ras chusain tin din aisa karain bashartaykay singar hani door hojaigi.
Karam ani mein lemon nichor kar pinay say jigar ki gar bar ki wajah say sar chakrana aur ankhon ki chaka chond door hojati hai jin aurton ko bacha paida hotay waqt taklif huwa karti hai agar who chothay mah say paidaish tak aik lemon ka sharbat bana kar rozana piya karain to in ka parsut baghair kisi qisam ki taklif kay door hojai.
Beauty lotion: lemon ka ras tin dafa kapray say chana huwa do tola araqe gulab sa atisha 2 tola barhiya glesrine 2 tola tinon chezon ko aik shishi mein dal kar yak jan karlain chehrah khoob surti barhanay kay liye aik behtarin cheez tayar hai chehrah kay dagh mohasay kil waghairah kay dafia kay liye bayhad mufid hai chahray ki rangat nikhar ati hai aur jild resham ki manind mulaim hoti hai.
Baz mosamon mein jild bohot bad numa si maloom honay lagti hai aur gardan bilkhusus bohot maili maili nazar ati h ai agar lemon mandarja zail tariqay say istemal kiya jai to gardan foran apni asli aur khush gawar rangat par ajaigi aik hissa glesrine aur tin hissa lemon ka ras lijey aur murakab bana kar ruee kay aik phuway say gardan par lagahiye yeh amal rat ko sotay waqt hona chahiye rat bhar garden ko isi halat mein rehan dijay doosray din subha ko dho daliye do tin din tak rat ko sonay waqt yeh amal karnay say gardan ki jild kay husn mein numayan izafa hojaiga aisay lemon ka araq jo kisi doosray masraf mein laya ja chukka ho nahanay kay liye ubtan ka kam daitay hain. In ka nikhar khoob ata hai aur pani mein jo qudrati khushki paee jati hai is ko door karta hai
Lemon kay chilkon ko yani sabit lemon ko kat kar in ka araq nikal kar khali chilkon ko gardan par hahon par gharazkay sarayjisam par khoob maliye aisa karnay say rang nikharta hai aur jild mulaim hojati hai glesrine aik chatank lay kar is mein araq lemon tazah aik tola carbolic acid 2 qatray mila kar rakhain aur khoob hilain dawa tayar hai rozana donon waqt chehrah par malish karkay chand minute bad garam pani say dhodiya karain chand hi yom kay istemal say chahray kay tamam dagh dhabbay kil jhayan waghairah door hokar husn dobala hojaiga.
Dad aik aisi bimari hai jo mushkil say door huwa karti hai aam tor par jab pasina ata hai to dad mein bay had kharish honay lagti hai zail mein dad kay azalay kay liye mujrib nuskha jat bayan kiya jatay hain jo lemon say hi tayar hotay hain.
1. barud ko kaghazi limn kay araq mein barik peec kar dad ki jagha par lap kardain is say dad khowah kitna hi purana kiyon na ho shartiya aram hojata hai aur phir lutf yeh kay ziyadah dair tak istemal karanay ki zaroorat hi paish nahin ati.
2. noshadar ko araq lemon mein peec kar dad par lap kiya karain is say chand hi roz mein dad ko aram ajaiga adhay lemon ka nichor pao lgass mein pani mein milakar pinay say sinay ki jalan ko aram pohonchata hai tilli brh janay ki halat mein lemon istemal nihayat mufid sabit huwa hai.
Iss soorat mein is kay istemal ka tariqa yeh hai kay do lemon kay char nisf tukray liye jain inhain namak chirak kar thora say garam karliya jai aur kaee roz tak barabar isi tadad mein chusay jain chand roz mein tilli apni asli halat par ajaigi.aik bara lemon lijay aur is kay patlay patlay mutadid tukray kar lijay aur inhain matti kay aik bartan mein dairh pao pani kay sath itni dair josh dijay kay adha pani rh jai isay rat bhar kisi khuli jagha rakh kar thanda karlijay aur subha kay waqt pilaya jai nihayat mufid hai malaria ka bukhar utar jaiga.
Bawasir ka ilaj bhi lemon kay tazah ras say kiya jata hai is ka tariqa yeh hai kay aik choti sringe mein nisf likon ka saf nithra ras aur isi kay ham wazan roghane zaiton bhar liya aur do tin roz mutawatir rat kay waqt maqad mein dakhil kardiya jai kay zaroorat mehsoos ho to aik haftay barabar rat ko sotay waqt yehi amal kiya jai sringe kin ok par tail ya Vaseline lagaliya jai takay chubhay nahin lemon ka ras masssom mein bilkul na lagay ga balkay is kay qarhay mandamail honay lagain gayaur ijabat bhi baqaida honay lagay gi massy sukar kar andar ki janib hojaingay aur murjha kar jhar jain gay bawasir khooni ka ilaj kaghzi lemon kat kar donon tukron par pisa huwa khata dal kar jitna ziyadah lemon mein jazb hojai karadain.aur phir donon tukron ko tashtari mein rakh kar bahar os mein rakh dain subha donon tukray chus lain pehli khurak say hi khoon band hojai ga aur bhook khoob lagay gi.
Lemon garam karkay chini laga kar chusta ji matlanay aur haiza key liye mufid hai.
Aur miqdar 2 tola yani do lemon haiza mein lemon aur piyar kay ras mein chini milakar sharbat tayarkarlain zaroorat parnay par thora thora chatain sahrbat chini kay bartan mein tayar karain histria mein bhuni huee hing kay sath lemon mufid sabit hota hai.
Miqdar aik tola aik ratti hing aur chay masha lemon ka ras aik mahina tak laga tar say aram hojaiga agar motiya band honay kay asar paida hojain yani dhundla dikhaee dainay lagay to sindha namak lemon kay rasmein ragar kar zarasa ankh kay ander anjan ki terha laganay say motiya band ruk kaiga jis shakhs kay mun say badbu arahi ho is ko majlis mein baithna do bhar hojata hai aur agar kisi terha aa bhi baithay to is majlis ki shamat ajati hai is ka ilaj yun kijay.
Lemon ka ras aik hissay arqe gulab do hissa donon mila kar razana sub o sham danton par malain is say na sirf yeh kay mun say badbu door hokar khushbu anay lagti hai bulkay masurhon kay zakham,gosht khorah waghairah bhi door hojatay hain.
Ilawah azin dant saf hojatay hain aur mun tamam ganday madon say saf hojata hai afim saf ki hue aik tola rasonat khalis saf ki hue 5 tola kisi saf kharal mein dal kar lemon kay ras mein aik ghanta kharal karkay nisf nisf rati ki goliyan banain isqate hamal kay liye lajawab dawa h ai agar chahray par danay hon to pelay yeh maloom kar lijey kay yeh garmi khushki say hain ya tari say aur tab ilaj ki taraf ahiye.
Yeh garmi say hain to subha nihar mun aik sard glas basi pani aur lemon ka sharbat lijay aur din bhar ziyadah say ziyadah pani pijiye masalah aur tez ashia hargiz istemal na kijiye. Kil mohasay khatam hojain gay agar kil mohasay khushki kay bais hon to rat ko sonay say qabal chahray par doodh ki balaee maliye. Lemon kay sath lemon ka ras nikal lijay.aur isay balon mein dal kar khoob achi terha malish kijay kuch dairy un hi usay rakhiye aur phir dhodijai chand din mein bal chamakdar hojaingay.
Tazah lemon ka araq din mein do tin bar chahray par maliye aur phir kisi umdah sabun say chehra dho daliye aisa karnay say chahray kay shikan door hojaingay.
Kharish aik aam jildi marz hai lemon musafi khoon hai yeh na sirf andruni tor par balkay beruni tor par bhi faida mand hai taza lemon kat kar badan par malish ki jai aur lemon kay ras ko jild kay upper khushk honay diya jai
Motapa dore hazir ka aam marz hai motay hazrat ko chahiye kay garam pani mein lemon ka araq mila kar istemal karain is say motapa door hojaiga balkay namak ya shaker mila kar rozana aik adad lemon ka ras pinay say badan mein chusti aur mustadi ajati hai.
Bad hazmi kay liye yeh aik lajawab shay hai baz hazmi ki soorat mein araq mein pani mila kar din mein tin char martaba istemal karain aur kisi qisam ki ghiza istemal na karaee jai dama ki shikayat mein aik lemon ka ras subha dopaihar rat ko istemal karlanay say is marz say nijat mil jati hai.

Lemon kay ras kay chand mufid nuskhay mulahiza kijay aur zaroorat kay waqt azmahiye .